Pyaar ki paribhaasha, main samajh bhi na paaya,
Khatm huaa safar, shuru hone se pehle;
Akayla chala tha, akayla khada hoon,
Chhup sa gaya hai, wo saathi jo tha mera.
Door tak saath chalne, ka vaada hua tha,
Wo ruk gaya hai, par main chal raha hu;
Chalna akayle, main seekh gaya hu,
Ab hai na saathi ki zarurat, manzil par nazar hai.
Lekar chala gaya, koi mere armaano ki jholi,
Jise maine kabhi, dhaaga-dhaaga buna tha.
Main ab chalunga, aur chalta rahunga,
Roke na rukunga, bas chalta rahunga.
Main toota bahut tha,
Magar ab sambhal gaya hu;
Chalta chala jaunga,
Ab na, tootoonga dobara.
Main majhbut hokar,
Patthar ban gaya hu;
Ab hila bhi na sakta,
Himalaya bhi mujhko.
Jaawabon se maine, saawal kiye hai,
Saawalo ka mere, koi jaawab nahi hai;
Main likhta hoon wo sab, jo mujhme chal raha hai,
Jo chalta hai mujhme, main woh likh hu deta.
Samajhna hai mujhko,
To ek baar, pyaar karna;
Yeh mujhko hai aasha,
Ke samajh jaoge,
Tum pyaar ki paribhaasha. (2 times)
.................................................................
© All rights reserved.
No comments:
Post a Comment