Niraash hokar baith jaana; yeh koi kaam nahi,
Paristhitiyo is jo dar jaye; meri nazar main wo “Insaan” nahi.
Hum to khaakar aadhi roti bhi so jaate hai,
Gum to uska hai; jo kahi bhookha so raha hai.
Pahad par chadna to kabhi aasan nahi hota,
Har uuchi dikhne wali cheez pahad nahi hota.
Ramzan main “Ram” aur Diwali main “Ali”;
Ka maksad ek samaan hai,
Wo jo sabke dilo main hai;
Bas wahi bhagwaan hai.
No comments:
Post a Comment