Main panchhi hu unmukt gagan ka,
Pinjade main na rehta hu.
Main udta hu aasmano main,
Jo aaye dil main, wo kehta hu.
Main jeeta hu aaj main,
Aaj hi mai main rehta hu,
Aane wale pal ko soche bina,
Gujre kal ko alvida kehta hu.
Chinta karna mera kaam nahi,
Main hasta hamesha rehta hu.
Rona main jaanta nahi,
Dukh bhi haske sehta hu.
Kuch log mujhe paagal samajhte hai,
Kuch mujhe deewana kehte hain.
Mujhe unki koi parvah nahi,
wo saale khud “vahem” main jeete hai.
Manzil merI abhi agyaat hai,
Rasta bhi, anjaan hai.
Chalte rehna mera kaam hai,
Jo bhi mil jaye rah mai, bas wahi mera “inaam” hai.
Mera dil nahi,
Main bhi abhi baccha hu,
Jhooth se buni is duniya main,
Shayad main abhi thoda “kaccha” hu.
Main paapi hu thoda,
Par shaapit nahi hun.
Main galt bhi hu thoda,
Par zyada sahi hun.
Ab bahut keh chuka main,
Ab zyda kuch na kahunga.
Yeh vaada hai khud se,
Main jaisa abhi hu,hamesha rahunga.
....................................................
©All rights reserved.
No comments:
Post a Comment