Tuesday, November 29, 2011

Mere Jeevan ka Satya

Padhkar kitabe, main seekha tha kuch-kuch,
Jeeke har lamha, main jaana hu sab kuch.

Aarmano main mere, hai aasman choone ki aasha,
Main chalkar dheere-dheere, mazdhar tak hu paucha.

Abhi chalna bahut hai, manzil par nazar hai,
Ye jaano na main bhi, kitna lamba safar hai.

Vishwas hai poora, khud par bhi yakin hai,
Aatmavishwas hai itna, ki aasman hai mera aur meri zameen hai.

Khwab bada hai, kuch karna naya hai,
Haqeeqat ke dhaago se, maine sapna buna hai.

Abhi sharir main bahut jaan hai,
Khoon main umdah ufaan hai,
Stamina hai poora,
Taango main na thakaan hai.

Jo ab likha hai, mere jeene ka andaz hai,
Aagaz beshak door sahi, par maine kardi shuruaat hai.

No comments:

Post a Comment